Thursday, February 23, 2012

New Girl in the City…

Shayad aap sochenge, teen saal baad aaj bhi mein khud ko new girl in the city kyu keh rahi hoon. Mein bhi heraan hoon, ki teen saal pehli ish article ko shuru kiya tha, aur achaanak jab apne documents mein ishse shabdo ko talaash karte paaya, toh khud pe thora gussha sa aaya…lagta hai ki zindagi ne ish ek ajeeb sehar mein kitne turns liye hai…phir bhi yeh document blank kyu hai…

Chaliye aaj mein aapko, aur shaayad apne aap ko khud se milwaati hoon, yeh article mujhe kissie ne likhne ko kaha tha, koshish kai baar ki, magar aaj effortlessly yeh dil ke raashte khud ko express kar raha hai…Hi, mein Indira…Mumbai aana mera sapna tha, shayaad tab se jab se khud ko aaine mein dekhna sikha tha, writer kehti thi khud ko, 2009, 4th Jan ko saari haado ko paar karke, ish sehar aayi thi…Koi aapne tha yaha, jisko janti thi, magar phir bhi anjaan tha…Dost tha, ya phir shayaad dost se kuch zyaada…Shaayad ushke hone se, yeh sehar mujhe zyaada apna laga.
Ish sehar se love at first sight hua mujhe, koi kuch keh kar toh dekhe ishke bare mein, jaan le lungi…Ek badhe se bag mein, kuch sapne lekar bin soche bin samjhe, aa gayi thi yaha…Advertising agency mein kaam mila, kai naya dost bane, raato mein khud ko khote paaya…lahro ke kinaare apne aap ko simte paaya…Ayesha laga, jaise ki mein zinda hoon…Phir, mujhe phir se pyaar hua, ish baar aur bhi serious wala…ushke saath ajeeb rishta tha, paas hota toh kuch keh nahi pati, door jaata toh jaise kitne afsaane shikaayat banke nikalte..Woh paas hota, toh duniya saath hoti…shayaad ushhi ne mujhse ish sehar se pyaar karne shikhaaya…Ushke sapne, mere sapne bane, ushki baatein meri baatein bani…Phir Balam kesari, ne raastien mein mujhe chod diya…Yu laga ki ab, ajnabee a hai yeh sehar, ush bin raastein bhi adhure lagte the, magar har din khud ki khusi ki dua maangti hoon mein…aur aaj jab who wajah jisne mujhe ish sehar se pyaar karna shikhaaya who nahi hai, tab bhi mein khush hoon, kyu ki jaane anjaane mein ‘Mumbai ko bhi mujhe pyaar ho gaya’…

Kehne ko aaj decent writer hoon, atleast koshish kar rahi hoon ki likhon who jo dil se baatein kare…sapne aaj naye hai, dua phir bhi puraani, umeed aaj khud se hai, shikaayat kissise se nahi…

Kahaani lagta hai aaj shuru hui hai meri…manzil ki phikaar nahi, raastein dilchasp hai, aur kya chahiye.

Thursday, December 29, 2011

My Love...My City





Tere angaan mein na mein pali, na hi teri shiksha ka asar hain mujh mein, tere anchal ko bheegoya bhi nahi, aur Bachhpan ki angrai bhi tere begaar hi liya...Mana sapna bunkar, tu aankhon mein har pal rehti thi, par maloom na tha ki tu lagti kya hain mera...Kabhi sochu toh lagta hai, ki kya mein khudgarz hoon...Jaha rahi, jaha pali; un raashto ki toh aaj yaad bhi nahi rahi...

Kya hain tu meri, kyu de rahi hai mujhe itna pyaar...Kyu khud ke anngan ko mein bhool gayi. Saach toh hai ki tune bhi mujhe rulaaya hain, raat din sapno ke piche bhaagna shikhayaa hain, Kabhi Bhookha sone nahi deti, Kabhi sab kuch looth ke le jati hai...Kabhi tujhpe gussha bhi aata hai, Ki kyu tu khud ka khayaal nahi rakhti, phir palat ke dekhu, toh har zakhmo mein bhi tu haasti hui nazaar aati hai...Samundar hai roop tera, Aasmaan hai duniya teri, Bus teen saal hua mujhe teri galiyo mein, magar koi tujhe kuch bole, toh soon na paau mein, ek ungli uthe teri taraf, toh ushe bhi modh daalu mein...Saach mein jisne bhi kaha hai...shaayad mere liye hi kaha hai...Tu hai 'Mumbai Meri Jaan'

Wednesday, December 28, 2011

Zindaagi ki Kahaani...




Dard ka samundar jiske sine mein ho, lawjho ki mohobbat jiske dil mein ho, kehte hain woh zindagi mein kuch nahi toh lekhar hi ban jata hai...Chetan Bhagat ne na shabdo se khela, na Inshaani charitra ki rachna mein woh doobe...bus likh liya kahaani aapne hi zammani ki, kuch tha saach, kuch jo woh kar naa paye, aur baki sab thi kalpanaye...

Aaj jab baathi mein bhi likhne wahi, Kehte hai kitaab jisse...Toh sochne lagi...likhu kya, apni kahaani mein hai masaala bahoot, magar daar hain kahi likhte likhte bheego na du, shaabdh ke aakar ush kagaaz par...Daarti hoon, kahi mera dard, dushro ko udaas na kar de...

Khushi hai maksaad mera, bus wahi toh hai jissie aaj tak mein bhi dhoond rahi...maalom hai milega mujhe woh ek din, magar aaj kaise likhu ush aanjaane ki kahaani...jiska khud mujhe intezaar hai...Chalo ish intezaar ke lamho ke naam par, usshi saathi hi aash mein...Likh deti hoon...Kahaani nayi...

Jo bhi mein karni chahu, Jo bhi mein paana chahu...Jee legi 'Miranda' meri kahaani mein!

Friday, December 23, 2011

Intezaar hai...Kyu




aadat nahi mujhe yu intezaar ki, magar aaj kyu dekh rahi raah ushki, ehaas hai, bekaraar hai, bus ishi baat par mera mujhse takraar hai...janti hoon shaayad ushe ish waqt aane ki aadat nahi, shayaad janaab aaram pharma rahe hai...par phir bhi mujhe toh intezaar hai...

Yu toh bin bulaye hi aa jate woh, kabhi aachahnak aake mujhe chu jate woh, kabhi mushkaan toh kabhi yaadein laate woh...shayaro ne bhi unhe kum yaad nahi kiya, har geet ki sargum mein ghool jate woh...Magar mera rishta unse pyaar ka tha, hum milte yu ki jaise kabhi alag naa ho, woh aate, mujhe hasaate aur phir ek subaah mujhe roshni mein akela chor jate... Aaj december ka mahina hai, magar aashmaan mein unke aane ka koi pehgaam nahi... janti hoon yeh mausaam unke aane ka nahi...
sukha hai mere salwaar ka dupatta...likh rahi hoon yeh pehgaam unhe yeh soch kar, ki shayaad yaad aa jaye, unhe bhi mera pyaar padh kar...

Nikal rahi hoon odh kar, dhupatta phir wahi...Bhigoya tha jisse bun ke bhaarish ek baar...aaj raah dekhungi phir tera, aashmaan se garaj ke baarash ke, leja mujhe tu apne sung ush paar...

Friday, June 24, 2011

Khaki rang ka woh parinda!




Khaki rang ka woh parinda, dikha jo darwaje pe...

Kuch pal ke liye waqt sa ruka, yeh kaun aya ghanti bajake, leke paigam kissi apne ka...

woh dekh mujhe, haske bola...'haan bhai yeh mein hi hoon, janta hoon ab aadat nahi tujhe dekhne ki mujhe, panno mein khat ab hote kaha hai, email ke khirkiyo mein waqt toh duar gaya, magar ehsas woh lifafe ka, andaz woh lavjo ka, woh siahi ki khusboo, jo archies ke letter pads...haan haan janta hoon, ab nahi woh zamana inka...

Tha waqt woh bhi, jab khusi mein tere darwaje leke ata tha, rukh ke do pal, dekhta tha ki khabar kaun si hai...

Phir jab woh julabi rang cha jata tumhare chehre pe, toh kehta, 'Lao baksish meri'...

Woh mohale se guzarta, toh aawaz har ghar se aati...

Woh amma ke khat, beto ka pegaam sab padhwati...

Likh toh tum aaj bhi rahe ho, emails, scraps aur comments...

Magar aaj bhi khat kissi apne ka haat mein ho, toh aashu toh tumhare aakhon se bhi ayege...

Akher mare hua pal ki yaad jo hoon mein...

Chauko mat zinda hoon, koi bhoot nahi mein!

Thursday, May 6, 2010

a night to remember...

some things just can't be expressed in words...
some touch, some care, some words...go beyond the earthly feelings as if the moment has cheased...and what when the moon stays along to witness the moment...

such was the night, the night that came on .......:)

Monday, April 5, 2010

And I said, I don’t care…!!!

Left the lanes, left the roof…
Left the hearts, left the hands…
Left the hugs, left the pain…
Left, never to come back again…

Why should I? My heart felt no emptiness…
Was I missing the lanes, was the tea shop beckoning me…
All I could remember were the words…
Words, course and sharp, they poked likes needles…
No, never again, will I go back to the lanes…

I don’t care, I don’t care…
So if there’s rain and people drowning…
I don’t care…
So what if the sun goes crazy and the heads turn dry…
I don’t care…

But…but…but!!
Just a fire and I could not sleep…
Fear like clouds surrounded me…
Faces of those I crossed by…
Faces of those I walked in merry…
Faces of those who loved and suddenly turned forever…
All came alive…

Prayers flowed to the unknown…
And the creator slowly laughed and said…
And you said…You don’t care!!!