Thursday, December 29, 2011

My Love...My City





Tere angaan mein na mein pali, na hi teri shiksha ka asar hain mujh mein, tere anchal ko bheegoya bhi nahi, aur Bachhpan ki angrai bhi tere begaar hi liya...Mana sapna bunkar, tu aankhon mein har pal rehti thi, par maloom na tha ki tu lagti kya hain mera...Kabhi sochu toh lagta hai, ki kya mein khudgarz hoon...Jaha rahi, jaha pali; un raashto ki toh aaj yaad bhi nahi rahi...

Kya hain tu meri, kyu de rahi hai mujhe itna pyaar...Kyu khud ke anngan ko mein bhool gayi. Saach toh hai ki tune bhi mujhe rulaaya hain, raat din sapno ke piche bhaagna shikhayaa hain, Kabhi Bhookha sone nahi deti, Kabhi sab kuch looth ke le jati hai...Kabhi tujhpe gussha bhi aata hai, Ki kyu tu khud ka khayaal nahi rakhti, phir palat ke dekhu, toh har zakhmo mein bhi tu haasti hui nazaar aati hai...Samundar hai roop tera, Aasmaan hai duniya teri, Bus teen saal hua mujhe teri galiyo mein, magar koi tujhe kuch bole, toh soon na paau mein, ek ungli uthe teri taraf, toh ushe bhi modh daalu mein...Saach mein jisne bhi kaha hai...shaayad mere liye hi kaha hai...Tu hai 'Mumbai Meri Jaan'

Wednesday, December 28, 2011

Zindaagi ki Kahaani...




Dard ka samundar jiske sine mein ho, lawjho ki mohobbat jiske dil mein ho, kehte hain woh zindagi mein kuch nahi toh lekhar hi ban jata hai...Chetan Bhagat ne na shabdo se khela, na Inshaani charitra ki rachna mein woh doobe...bus likh liya kahaani aapne hi zammani ki, kuch tha saach, kuch jo woh kar naa paye, aur baki sab thi kalpanaye...

Aaj jab baathi mein bhi likhne wahi, Kehte hai kitaab jisse...Toh sochne lagi...likhu kya, apni kahaani mein hai masaala bahoot, magar daar hain kahi likhte likhte bheego na du, shaabdh ke aakar ush kagaaz par...Daarti hoon, kahi mera dard, dushro ko udaas na kar de...

Khushi hai maksaad mera, bus wahi toh hai jissie aaj tak mein bhi dhoond rahi...maalom hai milega mujhe woh ek din, magar aaj kaise likhu ush aanjaane ki kahaani...jiska khud mujhe intezaar hai...Chalo ish intezaar ke lamho ke naam par, usshi saathi hi aash mein...Likh deti hoon...Kahaani nayi...

Jo bhi mein karni chahu, Jo bhi mein paana chahu...Jee legi 'Miranda' meri kahaani mein!

Friday, December 23, 2011

Intezaar hai...Kyu




aadat nahi mujhe yu intezaar ki, magar aaj kyu dekh rahi raah ushki, ehaas hai, bekaraar hai, bus ishi baat par mera mujhse takraar hai...janti hoon shaayad ushe ish waqt aane ki aadat nahi, shayaad janaab aaram pharma rahe hai...par phir bhi mujhe toh intezaar hai...

Yu toh bin bulaye hi aa jate woh, kabhi aachahnak aake mujhe chu jate woh, kabhi mushkaan toh kabhi yaadein laate woh...shayaro ne bhi unhe kum yaad nahi kiya, har geet ki sargum mein ghool jate woh...Magar mera rishta unse pyaar ka tha, hum milte yu ki jaise kabhi alag naa ho, woh aate, mujhe hasaate aur phir ek subaah mujhe roshni mein akela chor jate... Aaj december ka mahina hai, magar aashmaan mein unke aane ka koi pehgaam nahi... janti hoon yeh mausaam unke aane ka nahi...
sukha hai mere salwaar ka dupatta...likh rahi hoon yeh pehgaam unhe yeh soch kar, ki shayaad yaad aa jaye, unhe bhi mera pyaar padh kar...

Nikal rahi hoon odh kar, dhupatta phir wahi...Bhigoya tha jisse bun ke bhaarish ek baar...aaj raah dekhungi phir tera, aashmaan se garaj ke baarash ke, leja mujhe tu apne sung ush paar...

Friday, June 24, 2011

Khaki rang ka woh parinda!




Khaki rang ka woh parinda, dikha jo darwaje pe...

Kuch pal ke liye waqt sa ruka, yeh kaun aya ghanti bajake, leke paigam kissi apne ka...

woh dekh mujhe, haske bola...'haan bhai yeh mein hi hoon, janta hoon ab aadat nahi tujhe dekhne ki mujhe, panno mein khat ab hote kaha hai, email ke khirkiyo mein waqt toh duar gaya, magar ehsas woh lifafe ka, andaz woh lavjo ka, woh siahi ki khusboo, jo archies ke letter pads...haan haan janta hoon, ab nahi woh zamana inka...

Tha waqt woh bhi, jab khusi mein tere darwaje leke ata tha, rukh ke do pal, dekhta tha ki khabar kaun si hai...

Phir jab woh julabi rang cha jata tumhare chehre pe, toh kehta, 'Lao baksish meri'...

Woh mohale se guzarta, toh aawaz har ghar se aati...

Woh amma ke khat, beto ka pegaam sab padhwati...

Likh toh tum aaj bhi rahe ho, emails, scraps aur comments...

Magar aaj bhi khat kissi apne ka haat mein ho, toh aashu toh tumhare aakhon se bhi ayege...

Akher mare hua pal ki yaad jo hoon mein...

Chauko mat zinda hoon, koi bhoot nahi mein!